Saturday, November 30, 2013

Ahad-e-Ishq

Badi muddato se teri yaad se koi raabta nahi
Aisa kyun lage ke tujhse koi mera wasta nahi
Teri har yaad pe lutata hua badi dur aa gaya
Lautun kahan tu hee bata ab koi raasta nahi

Waqt-O-Taqdir ki giraft mujhse door hee thahar
Ye dil mera kisi sarhado ko jaanta nahi
Badi hasrate thi dil me teri ik deedar ki
Ab tujhse rahun juda ye dil maanta nahi

Kar lo sitam jitni bhi arzu hai aye duniya
Ek din mere alfaz neze se tumko chubhenge
Aaj kalb-e-bashar khushq sa hai mere ehsaas se magar
Kal inhi nam hothon pe mere geet sajenge

Gar khilne nahi degi dil-e-banjar me wafa
Rasm-O-Rivaz aur ye mazhab ki deeware
Ishq sachha hai mera agar to rab ki inyat se arsh par
Ye arwah farishto ki gawahi me milenge

Ahad-e-Ishq

बड़ी मुद्दतों से तेरी याद से कोई राब्ता नहीं
ऐसा क्यूँ लगे के तुझसे मेरा कोई वास्ता नहीं
तेरी हर याद पे लुटता हुआ बड़ी दूर आ गया
लौटूँ कहाँ तू ही बता अब कोई रास्ता नहीं

वक़त-ओ-तक़दीर कि गिरफ्त मुझसे ज़रा दूर ही ठहर
ये दिल किसी सरहदों को जानता नहीं
बड़ी हसरते हैं दिल में तेरी एक दीदार की
अब तुझ से रहूँ जुदा ये दिल मानता नहीं

कर लो सितम जितनी भी आरज़ू है ए दुनिया
एक दिन मेरे अलफ़ाज़ नेज़े से तुमको चुभेंगे
आज क़ल्ब-ए-बशर खुश्क सा है मेरे एहसास से मगर
कल इन्ही नम होठों पे  मेरे गीत सजेंगे

गर खिलने नहीं देंगी के दिल-ए-बंजर में वफ़ा
रस्म-ओ-रीवाज़ और ये मजहब कि ये दीवारें
 इश्क़ सच्चा है मेरा अगर तो रब कि इनायत से अर्श पर
ये अरवाह फरिश्तो कि गवाही में  मिलेंगे
  

Monday, September 16, 2013

आलिंगन

तोरी छवि मन में बसाके
सुमिरन करत रहत दिन रैन
नींद भी भई अब तो मोरी बैरी
बिरह में तेरे  न मिलता चैन

घुमत रहत बावरी सी सारी डगरिया
जग लगे मोहे पी की नगरिया
नाचत मन मोरा प्रेम की घुँघर बांधे
छलकी जाये मोरी जल की गगरिया

तोरे चरण बने भाग्य की रेखा
नियति का सुन्दर ये प्रबंध है
अनुरागी इस मन में अब तो
कस्तूरी सी प्रेम सुगन्ध है

मन करत प्रतिपल तोरा ही दर्शन
तुम्ही यथार्थ तुम्ही मोरे स्वप्न
तोड़ के जग के सारे बंधन
पूर्ण करो अपना मधुर आलिंगन





Saturday, May 25, 2013

Khwahishein


Aaj fir teri yado me 
kho jana chahta hoon
Kitni mehsoos ki teri kami 
tujhko ye batana chahta hoon
Aaj mohlat ata kar de
ik mulaqat ki aye habib
Ke jo ranjishe hain darmiyan
unhe mitana chahta hoon

Mere andaz, mere alfaz me 
tu hee hai har pahar
Bin tere sadiyo se
lagte kyun sham o sahar
Bohot tadpa hun khwabo me
Karwate badal badal kar
Ab Bas rubaru tumko
hi paana chahta hoon


Teri baato ki ithlati 
nadan shokhiyo me
Tere Rukh pe jhoomti 
gesuon ki sargoshio me  
Teri yun jheel si gehri 
nazar ki gehraiyon me
Aaj fir se 
dub jana chahta hoon


Wo tera lahro sa mud mud ke 
balkha ke yun chalna
Wo tere payal ki dhun 
pe fizaon ka machalna
Wo yunhi har pal ruthti
Pagal si ladki ko
Bahon me leke aaj 
fir se manana chahta hoon

Aashiqi hamari 
beshak parwan chadehgi
Har ik khusuhi duniya ki
tere daman me khilegi
Jiyunga isi wade ko ke
Jab tak Jaan hai mujhme

Warna ye hi akhri khwahish
liye rukhsat ho jana chahta hoon




Saturday, March 16, 2013

Kashmakash

Ek arse se dil ne kisiko apnaya nahin
Naa jane zehen pe mere ye pehra kyun hai
Tu to bewafa thi roz -e-awaal se ye jaante the hum
Fir har pal nazar pe chhaya tera chehra kyun hai



Ek waqt tha tune kaha ke ruko hum aate hain abhi
Jaane ab tak mera waqt wahin pe thehra kyun hai
Laakh muskurane par bhi aankhe nam reh jati hain
Ye tujhe na paane ka dard itna gehra kyun hai



Zindagi ab lagti hai apni kuch parayi si Arif
Kuch aisa haal ab raah-e-ulfat me mera kyun hai

Monday, January 7, 2013

Aa Bhi Jaa


Door ho kar tujhse, ab main jiyun kaise
Aa ke mujhe, ab tu ye bata bhi jaa
Kitne dino se yunhi, tu hai khafa mujhse,
Aakee khwabo me, ab muskura bhi jaa 

Aaa bhi jaa O Jana,
Dur tujhse mushkil hai ab reh paana

Sath dhadkan ke hai tu jaise,saanse ye meri,
Karta hai mujhse harpal, dil baatein bas teri
Kitne dino se tanha fira hun main,
Rubaru aake ye tadap mita bhi ja,

Aa bhi jaa Oh Jana
Dur tujhse mushkil hai ab reh paana

  
Tanha sa fir raha hoon raho me dar badar,
Na khud ki hai parvah, Na zamane ki  khabar,
Chahat me bas tu hai aur rahat bhi hai tu,
Meri is duniya ki ab zarurat hai tu,


Aaa bhi jaa ,dil ko hai bas teri hi justaju
Aaa bhi jaa, har dua me hai teri hee aarzoo
Tere liye hai beqarar dil mera har pahar,
Dhundo main tujhko ab har shamo sahar 

Aaa bhi jaa O Jana,
Dur tujhse mushkil hai ab reh paana

Aa bhi Ja..Ho.........Aa bhi jaa