Monday, April 20, 2015

Parchhaiyan

Ye jo raat ki parchhaiyan hain
Tere hee ishq ki ruswaiyan hain
Ek barsat si hoti hai ab to balishton pe
Itna kyun tadpati ye judaiyan hain 

Meri har shaam me,Tera hee intezar sanam
Har ghadi nazron me,Tera hee khumar sanam
Koi roke bhala kaise khud ko tu hee bata
Ek arman jagati ye angadaiyan hain 

Wo ek raah jisse tera guzarna tha kabhi
Wo adayein teri jispe mera marna tha kabhi
Tha jo roushan kabhi tere chehre ki roshni se
Meri kismat me bachi sirf ye veeraniyan hain

Thursday, August 14, 2014

आओ एक नया भारत बनायें

एक दिया प्यार  का हम , आओ मिलके आज जलाएं
छोड़ धर्म और जात की बाते, आओ सबको गले लगाएं

ये वो मिटटी है हम सब, जिसकी गोद में  खेले हैं

हर पग हर्ष का सावन है, हर छण बैसाखी के मेले हैं
आओ फिर ईद मिले हम , आओ फिर गुलाल लगाएं
अपनी शान तिरंगे को, आओ हर गली चौक फहराएं

एक दिया प्रेम का हम ,आओ मिलके आज जलाएं..



आन है  भारत, प्राण है भारत, हम लोगो की  शान है भारत
नेताजी की भूमि है ये, भगत सिंह का बलिदान है  भारत
पटेल और सैयद की शिक्षा हम से कहीं बेकार  न जाए
आओ लगन से लगन मिला के एक नया भारत बनायें

एक दिया प्रेम का हम ,आओ मिलके आज जलाएं



ऐसा बनायें भारत अपना, जैसे प्रेम का कोई उपवन 
पुष्प एकता की हो इसके , प्रगति के हो सुन्दर स्वप्न 
आओ फिर से हाथ मिलके सोने की चिड़िया इसे बनाये 
जगत गुरु भारत इस विश्व को, शांति पथ पर ले जाये 

एक दिया प्यार  का हम ,आओ मिलके आज जलाएं

छोड़ धर्म और जात की, बाते आज सबको गले लगाएं

रिफ 

                                            

Tuesday, August 5, 2014

Mere Nagmon Ki Dhun

Mere nagmon ki Dhun, Kuch to sanwar jayegi
Rubaru aao meri shaam nikhar jayegi

Kaifiyat teri mujhe, jaane le chali hai kahan
Bhula sab naatein main bhul gaya hun jahan
Rubaru aaun jo gale se lagana mujhko
Tujhme na simti to, bilkul hi bikhar jayegi

Mere nagmon ki Dhun, Kuch to sanwar jayegi
Rubaru aao meri shaam nikhar jayegi

Bade tanha se hain ab to ye sham o savere
Chubhte hain har ghadi mujhko ye siyaah andhere
Dagmaga jaye na kashti-e-hayat kahin 
Saath tu de to fir Sahil ko pahunch jayegi

Mere nagmon ki Dhun, Kuch to sanwar jayegi
Rubaru aao meri shaam nikhar jayegi

Har ek alfaz mere, bas ho mutasir tujhse
Chamke khayal mere tere hi tasavvur se
Fir ho aasra inhe teri aawaz daari ka
Narm hoto se teri milke machal jayegi

Mere nagmon ki Dhun, Kuch to sanwar jayegi
Rubaru aao meri shaam nikhar jayegi

Saturday, July 26, 2014

उम्मीद

Koi mehfil jo saje kabhi, Mere tanha khyalon me
Zindagi Chamke Chandni See, Tere Chehre ke Unjalo me
Main Likhun Sher behekte se, Teri Rangi Adaon pe
Aur fir tu kare Tasleem, To Kuch Aur Baat Ho Jaye

Aur teri Waah pe mera Hausle Kuch Yun Badhe
Kadam badha ke sare aam tujhe, Laga lun main gale
Fir Ho Jaye Andera, Teri Zulfon ke Saye Ka
Kash Kismat Me Meri, Koi Aisi Raat Ho Jaye

Fir Chale Sath mere tu, Mera Mukaddar ban ke
Meri har Nazm ka, Haseen Tasavvur Ban ke
Ho qurbaan is Musavvir ki har kalam tujhpe
Teri Shaan me kuch aise Kalam ho jayen

Puchhe tu ke kalam me hai mera dil ya bas hai dillagi
Main Kahun tujhise shuru aur tujhpe hi mukammal hai zindagi
Izhar kare tu ke main hee hun Mustakbil Tera
Aa kuch aise haseen sawalat ho jayen


Thursday, July 3, 2014

Intezar


Teri nazron me jo dekha, Yunhi,apna aks humne
Phir kisi aur ko in aankho me, basaya na gaya
Talab jab ki humne, jaam ki mehfil-e-mehkhane me
Kaifiyat dekh meri ek boond bhi,Saaqi se pilaya na gaya


Shuru  fir ho gaye silsile meri duaon ke
Ho mujhe bhi ata jalwe uski Adaon ke
Karar aaya nahi fir muntazir nigahon ko
Bekhudi ka ye aalam kisi se bhi chhupaya na gaya

Deedar-E-Husn jo Hasili hua sare bazaar mujhko
Hasrate kehne lagi bayan kar dun Haal-E-Dil tujhko
Phir na jane kyun ashqon se dabdabai ye Palkein
Chah kar bhi lafzon ko Zubaan tak laya na gaya

Saath tha tere vo Raqeeb tera mukaddar ban ke,
Jeet lee dil ki baazi usne Sikandar ban ke
Shikastan dil ko chubhi yaadein teri Paikan-E-Kaza ki tarah
Ma'aal-e-Mayusi me humse muskuraya na gaya

Munsif-E-Ishq hai Khuda aur Wahi Shaahid E Ishq Mera
Uski raza thi jo hum dono ko milaya na gaya
Mita delenge maazi se tujhe bas itna farz kar ke
Meri Hayat me Shirkat ke liye, Ek Tujhko banaya na gaya








Thursday, January 30, 2014

Jashn 2014



Check it Out Now Yeah!!

In Bangaluru this Saturday
Jashn Twenty14 coming your way


You work so hard,Round the clock
Like a racer who is just off the blocks
Let ur hair lose 'n' move with the flow
Shakin ur leg on the beat
It's all you need to know

People matter result count

Is New Slogan of the Nation
There is a ramp.dance,song
and plenty of Action
Man-Ya-Ta park
is the Place of Celebration

What you waiting for

Here is your invitation

Bringing once more now

In Bangaluru this Saturday
Jashn Twenty14 coming your way


Saturday, November 30, 2013

Ahad-e-Ishq

Badi muddato se teri yaad se koi raabta nahi
Aisa kyun lage ke tujhse koi mera wasta nahi
Teri har yaad pe lutata hua badi dur aa gaya
Lautun kahan tu hee bata ab koi raasta nahi

Waqt-O-Taqdir ki giraft mujhse door hee thahar
Ye dil mera kisi sarhado ko jaanta nahi
Badi hasrate thi dil me teri ik deedar ki
Ab tujhse rahun juda ye dil maanta nahi

Kar lo sitam jitni bhi arzu hai aye duniya
Ek din mere alfaz neze se tumko chubhenge
Aaj kalb-e-bashar khushq sa hai mere ehsaas se magar
Kal inhi nam hothon pe mere geet sajenge

Gar khilne nahi degi dil-e-banjar me wafa
Rasm-O-Rivaz aur ye mazhab ki deeware
Ishq sachha hai mera agar to rab ki inyat se arsh par
Ye arwah farishto ki gawahi me milenge