Teri nazron me jo dekha, Yunhi,apna aks humne
Phir kisi aur ko in aankho me, basaya na gaya
Talab jab ki humne, jaam ki mehfil-e-mehkhane me
Kaifiyat dekh meri ek boond bhi,Saaqi se pilaya na gaya
Shuru fir ho gaye silsile meri duaon ke
Ho mujhe bhi ata jalwe uski Adaon ke
Karar aaya nahi fir muntazir nigahon ko
Bekhudi ka ye aalam kisi se bhi chhupaya na gaya
Deedar-E-Husn jo Hasili hua sare bazaar mujhko
Hasrate kehne lagi bayan kar dun Haal-E-Dil tujhko
Phir na jane kyun ashqon se dabdabai ye Palkein
Chah kar bhi lafzon ko Zubaan tak laya na gaya
Saath tha tere vo Raqeeb tera mukaddar ban ke,
Jeet lee dil ki baazi usne Sikandar ban ke
Shikastan dil ko chubhi yaadein teri Paikan-E-Kaza ki tarah
Ma'aal-e-Mayusi me humse muskuraya na gaya
Munsif-E-Ishq hai Khuda aur Wahi Shaahid E Ishq Mera
Uski raza thi jo hum dono ko milaya na gaya
Mita delenge maazi se tujhe bas itna farz kar ke
Meri Hayat me Shirkat ke liye, Ek Tujhko banaya na gaya
 
No comments:
Post a Comment