Aaj fir teri yado me
kho jana chahta hoon
Kitni mehsoos ki teri kami
tujhko ye batana chahta hoon
Aaj mohlat ata kar de
ik mulaqat ki aye habib
Ke jo ranjishe hain darmiyan
unhe mitana chahta hoon
Mere andaz, mere alfaz me
tu hee hai har pahar
Bin tere sadiyo se
lagte kyun sham o sahar
Bohot tadpa hun khwabo me
Karwate badal badal kar
Ab Bas rubaru tumko
hi paana chahta hoon
Teri baato ki ithlati
nadan shokhiyo me
Tere Rukh pe jhoomti
gesuon ki sargoshio me
Teri yun jheel si gehri
nazar ki gehraiyon me
Aaj fir se
dub jana chahta hoon
Wo tera lahro sa mud mud ke
balkha ke yun chalna
Wo tere payal ki dhun
pe fizaon ka machalna
Wo yunhi har pal ruthti
Pagal si ladki ko
Bahon me leke aaj
fir se manana chahta hoon
Aashiqi hamari
beshak parwan chadehgi
Har ik khusuhi duniya ki
tere daman me khilegi
Jiyunga isi wade ko ke
Jab tak Jaan hai mujhme
Warna ye hi akhri khwahish
liye rukhsat ho jana chahta hoon
