Friday, September 21, 2012

Gehri Dosti



 
Farz dosti ka kuchh is tarah se ata kya usne,
Apne guroor me humko hi bhula diya usne,
Tanhayi me kabhi hum itna na roye the,
Mehfil me kuchh is tarah se rula diya usne.

Dar to ab dost banane me bhi lagta hai,
Kaise Kahun wafa ka Kya sila diya usne,
Dosti ka ek phul pe bhi na raham aaya usko,
Shakh-e-Habibi ko kuchh is tarah se jala diya usne.
 
 

Ruswai




Aye dil mere pukarna ab usko chhord de....
ulfat meri kahan ab uske dil me basi hai.....

Behta hai lahu ab mera ahsqo ke badle...
Neja e bewafai itni shiddat se chubhi hai ....

Hichkiyon ke silsilo se pareshan hun bohot...
lagta hai fir,meri mehfil e ruswai jami hai...

Qabil nahi tere ..ya Zamane ka dar tujhe...
Keh de mujhe jo meri wafa me koi kami hai...

Socha hai mere dil ne jab bhi naam-e-wafa ko...
Jaane kyun khyalo me teri tasveer bani hai....

Intezar kaa alam gar dekhna hai to fir dekh....
Aaj bhi ye num aankhe teri raaho me saji hai...