Wednesday, July 7, 2010

Rota hai pal pal aaj bhi dil

Rota hai pal pal aaj bhi dil
un sooni sooni rahoon mein,
jin raho me kabhi tum aur hum,
the pyar ka jahan basaye chale.


Ab basti hai meri un aankho me
beeti yaadon ki kaali ghata
Jin aankho me tere chehre ki
kabhi hum the shama jalaye chale.

Kabhi hota tha ye dil bhara
teri wafa ki tarannum se,
ab us dil ki har ek gali se
hum tera nishan mitaye chale

ab zindagi me hai kuchh bhi nahi
bas yaado ki tariqi ke siwa,
is khatir teri duniya se
hum tujhko hain bhulaye chale................

Zindagi Ka Safar


Zindagi ka safar tanha tanha tha mera,
Kabhi saath tune nibhaya to hota,

Rota raha zaar zaar hokar main,
Kabhi aake mujhko hansaya to hota,

Bheenga kiya ghum ki barish me ye dil,
Tune saaye me apne chhupaya to hota,

Bistar pe  karwat badalta raha main,
Tune pehlu me aake sulaya to hota,

Kyun na chaha kisi ko tujhe chaah maine,
Sawal apne dil me uthaya to hota,

Tarasta raha main sahare ko tere,
Tadap ko meri mitaya to hota,

Zindagi ko fana mai to karne chala tha
Tune jeene ka arma jagaya to hota,

Na hota ye ghum na likhta ghazal me,
Ishq-e-Arif jo tune na thukraya hota